Thursday, 9 August 2012

Awaaz To De Akbar


kadiyal jawaan ki laash par kehta raha rokar padar
awaaz to de akbar
girta hua ut-ta hua aa to gaya hoo mai magar
gum hogaya noor-e-nazar
aawaz....

tu naujawan hai akbar aur zaeef baba
kaise uthaoon maiyath mujhko to batade itna
jaana hai ab khaiyaam tak kaise karoon mai ye safar
qam hogayi meri kamar
awaaz....

aayi sada jidhar se mai us taraf  badoonga
awaaz sunte sunte tujhe un may dhoond hi loonga
tu hai jidhar pyare mere dheere se ye kehte hue
baba idhar baba idhar
awaaz....

sughra ke naamwar ko khat ka jawaab kya doon
wo muntazir hai usko barchi ka haal sunadoon
raste se ab nazre hata maara gaya bhai tera
kya bhejdoon usko khabar
awaaz....

teri sada ko sunkar wo phir se ji uthegi
hamsheer teri warna shayad nahi jee paayegi
seene ki barchi thaam ke sughra ko uske naam se
ek baar himmat jodh kar
awaaz....

barchi se bas kalaija tera nahi chida hai
maqtal may fatima ne dil apna thaam liya hai
bhai hassan nana nabi baba ali dadi teri
maujood hai sab bhi idhar
awaaz....

kaise bayaan karoon mai wo dard naak manzar
sajde may thay khudaayi rota tha saara lashkar
jab fatima ke laal ne haaton pe lekar khaak se
rakh kar kaha zaano pe sar
awaaz....

laashe ke dona jaanib baithi hai maayen dono
seene ke bosay lekar lete hai balaayn dono
zainab idhar laila idhar choome tera zaqmi jigar
inse to koi baat kar
awaaz....

akbar janabe akbar khamosh hogaye thay
shabbir sar jhukaye laashe ke paas khade thay
zainab kabhi laila kabhi behne kabhi kabhi naamwar
kehta raha ye saara ghar
awaaz....

Umm-e-Laaila Sambhal Zainab Ko

ghareeb e zehra pa kya waqt hai ghareebi ka
gareban chaak hai balon may khaak e karbobala 
talaash karte hai rasta nazar nahi aata 
ye haal dekh ke haste hai sheh pa ahle jafa
behan ki kaandhon par kul kaayenat laate hai
qadam qadam pe ye awaaz dete jaate hai

umme laila sambhaal zainab ko
laa raha hoo mai laashaye akbar
umme laila sambhaal....

bolay honge hussain ye rokar
umme laila sambhaal....

naujawan laash hai zaeefi hai
meri nazron se dekh manzar ko
kaise hamsheer ko sambhalunga
mai sambhale hue hoo akbar ko
tera ehsaan hoga ye mujh par
umme laila 
sambhaal....
laa raha hoo mai....

iske seene se kehke naame ali 
maine barchi abhi nikaali hai
imtehan de chuki hai meri ghurbat
ab teri bekasi ki baari hai
tu bhi is waqt ya ali keh kar
umme laila sambhaal....
laa raha hoo mai....

do nageene thay iski jholi may
dono akbar pe kar diye sadqa
shor aisa ke apne beton par 
maine rote isay nahi dekha
hai magar ab ye laashaye akbar
umme laila sambhaal....
laa raha hoo mai....

rok rakha hai apne ashkon ko
sab se chup chup ke aahe bharti hai
mai samajhta hoo maadare akbar
teri mamta pe jo guzarti hai
rak ke apne kaleje par pathar
umme laila sambhaal....
laa raha hoo mai....

kaise laashe jawan uthaye hoo
aediyan khat banati aati hai
in nishano ko peeche peeche mere
amma zehra mitati aati hai
uski nazrein na dekhe ye manzar
umme laila sambhaal....
laa raha hoo mai....

ay takallum wo shaam o koofa ka
tay hua hoga is taraf se safar
amma zainab sambhaalna maa ko
aur hoga hussain ke lab par
umme laila sambhaal....
laa raha hoo mai....

Accha Hua Sughra

jab ahle haram aaye madine may palay kar
sughra se kaha saniye zehra ne lipat kar

acha hua sughra tu mere saath nahi thi
zainab ka tha noha hum lut gaye sughra
acha hua sughra....

is baat pe karti hoo ada shukr ka sajda
hum may se kisi ka to salamat raha parda
kis tarha bataun tujhe dil phat ta hai mera
sadaat ki ghairat ka taqaza nahi sughra
bas itna hi kehti hoo rida jab ke chini thi
acha hua sughra....

tu poochti hai surkh hai kyun aap ki chadar
aa tujhko bataun mere mazloom ki dukhktar
jab qaime may sheh laaye laashe ali akbar 
mai aise giri laash ke pehlu may tadap kar
akbar ke lahoo se ye rida surkh hui thi
acha hua sughra....

kis tarha rahi hogi tu is ghar may akeli
ehsaas mujhe hai tere is dard ka beti 
lekin tu zaeefa hui furqat may padar ki
tujhko to khabar sirf shahadat ki hai pahunchi
mai sheh ka gala kat-te hue dekh rahi thi
acha hua sughra....

kya bughz hai baba se musalmano ko jaane
phir aaye thay ghar fathema zehra ka jalane
sab aake khade hogaye bekas ke sarhane
us waqt sitamgaron se abid ko bachane
beti phupi amma teri sholo pe chali thi
acha hua sughra....

tanhai may le jaake kabhi poochna maa se
kis tarha se guzri teri maa behne wahan se
baatein jahan sab karte hai pathar ki zuban se
shab ko bhi guzarna bada mushkil hai jahan se
be-parda din may wahan har ek bibi khadi thi
acha hua sughra....

nana ka madina hai nahi khauf kisi ka
dil khol ke ro kaun tujhe maarega durra
lekin kabhi baba pe jo roti thi sakina
sayli kabhi durra kabhi khati thi tamacha
rone pe bhi masoom ke pabandi lagi thi
acha hua sughra....

ay mir takallum wo qayamat thi qayamat
zainab ne sunayi jo sakina ki shahadat
sadaat pe sughra tha ajab aalam e ghurbat
zindan ke andhere may banayi gayi turbat
dam tod ti bachi ne bhi ye baat kahi thi
acha hua sughra....

Tuesday, 3 July 2012

Aaya Darya Se Alam

Aaya darya se alam tum na aaya abbas X3
Haye sad wa waela X 2
Haya haye abbas
Aaya darya se alam tum na aaya abbas 
Shah ke bachon ke ho tum naaz uthane wala
Kyun na darya se phire paanie pilaane wala
Chhoti shahzadi ka dil dooba jaye abbas
Haye sad wa waela hae hae abbas
Aaya darya se alam tum na aaya abbas 
Thaamkar apni kamar shahe umman aaye hai
Ghar me laye hain janaza ke alam laye hai
Daastan teri alam khud sunaye abbas
Haye sad wa waela hae hae abbas
Aaya darya se alam tum na aaya abbas 
Shah kahetee then mera shere dilawar chhina
Aag pani ko lagaye jisne baradar chhina
Raye shabbir khana tumsa paye abbas
Haye sad wa waela hae hae abbas
Aaya darya se alam tum na aaya abbas 
Goya dekha jo tumhe dekh liya roohe ali 
Mere aagan se chali jayegi kushboo-e-ali
Jeena meshkil hai mera tum siwae abbas
Haye sad wa waela hae hae abbas
Aaya darya se alam tum na aaya abbas 
Asr ka waql - qareeb aa gaye tanhi hai
Aur wahan lashkare ada mein safarai hai
Shah ki khamosh nazar tujhko bulae abbas

Haye sad wa waela hae hae abbas
Aaya darya se alam tum na aaya abbas 
Kab zamane pe khulega tera rutha ghazi
Jab shafat ke liye shaafae - mahshar bibi
Ayengi tere kate haath ythae abbas

Haye sad wa waela hae hae abbas
Aaya darya se alam tum na aaya abbas 




Aye Raat Na Dhalna

Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab
Bhai se dame subho bichar jayegi zainab
Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab
Sone de sakina ko ke phir so na sakegi
Rona bhi ja chahegi to phir ro na sakegi
Asghar se mulaqat to phir ho na sakegi 
Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab
Ghabrae hue laal hai sahmi hui maayain
Jee bhar ke main de loo ali akbar ko duae
Lena hai abhi auno- mohammad ki balaye
Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab
Har chand se bachon ki abhi pyas hai baqi 
Kuch ankh me hasrat to kuch aas hai baqi
Lekin mera bhai mera abbas hai baqi
Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab
Baqi hai abhi aale mohamad ka safina 
Beti ko sulane ko hai shabbir ka sina 
Jhoola ali asghar ka juhlati hai sakena 
Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab
Kal kon sunega ye meri aaho buka bhi
Hoga tahe khanjar mere bhai ka gala bhi
Khaima to kuja sar pe na hongi ye rida bhi 
Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab
Aye raat gahri bhar ko to rehane skoon meen
Kir jayenge nasir mere aaela ki sofon meen
Chand se chehra to naha jayenge khoon meen
Aye raat na dhalna ke ujad jayegi zinab

Akhri Waqt hai

Akhri waqt hai marne ki raza do zainab )x2                                                                     
Apne hatho se kafan mujhoko pehna do zainab                                                         
Waqt rone ka nahi ankho se aasu pocho                                                                         
Bhai ko hauslaye zapto raza do zainab                                                                          
Akhri waqt hai marne ki raza do zainab                                                                           
 Farz ki rah me uthe na mohabbat ka swalw                                                                       
 Hai sakeena dare khaime pe hata do zainab                                                             
 Akhri waqt hai marne ki raza do zainab                                                                         
 Hote abbas to taklef na deta tumko                                                                             
Ek majbor ko ghore pe betha do zainab                                                                      
 Akhri waqt hai marne ki raza do zainab                                                                            
  Muntazir shimr ka khanjar hai meri gardan ka                                                                 
   Zindagi ki nahi marne ki raza do zainab                                                                       
 Akhri waqt hai marne ki raza do zainab                                                                                    
  Uff na karna jo kalai me rasan bandh jaye                                                                         
 Sabr amma sa zamane ko dikha do zainab                    
Akhri waqt hai marne ki raza do zainab                               
God ke palo ko jungle me sula aaya hu                          
Marne walo ko na roro ke sada do zainab                          
Akhri waqt hai marne ki raza do zainab
Asr ke baad zamane me andhera hoga                                             
Apne ashqo se chirago ko jala do zainab                         
Akhri waqt hai marne ki raza do zainab                         
Apne hatho se kafan mujhko penah do zainab